kahiin be khayaal ho kar yunhii chhuu liyaa kisi ne
— Majrooh Sultanpuri
Kaheen be-khayaal ho kar yunhee chhoo liyaa kisee ne
Ka.ee khvaab dekh Daale yahaan meree be-khudee ne
Mire dil main kaun hai too ki huaa jahaan andheraa
Vaheen sau diye jalaa.e tire rukh kee chaandnee ne
Kabhee is paree kaa hai Kuch kabhee us haseen kee mahfil
Mujhe dar-ba-dar phiraayaa mire dil kee saadgee ne
Hai bhalaa saa naam us kaa main abhee se kya bataa.oon
Kiyaa be-qaraar hans kar mujhe ek aadmee ne
Are mujh pe naaz vaalo ye niyaaz-mandiyaan kyon
Hai yahee karam tumhaaraa to mujhe na doge jiine