kisi ne bhi to na dekhaa nigaah bhar ke mujhe
— Majrooh Sultanpuri
Kisee ne bhee to na dekhaa nigaah bhar ke mujhe
Gaya phir aaj kaa din bhee udaas kar ke mujhe
Sabaa bhee laa.ee na koi payaam apnon kaa
Sunaa rahi hai fasaane idhar udhar ke mujhe
Muaaf kiije jo main ajnabee hoon mahfil men
Ki raaste nahin ma.aloom is nagar ke mujhe
Wo dard hai ki jise sah sakoon na kah paa.oon
Milegaa chain to ab jaan se guzar ke mujhe