mujh se kahaa jibriil e junoon ne ye bhi vahi e ilaahii hai

Majrooh Sultanpuri

Mujh se kahaa jibreel-e-junoon ne ye bhee vahi-e-ilaahee hai Maz.hab to bas maz.hab-e-dil hai baaqee sab gumraahee hai Wo jo hue firdaus-badar taqseer thee wo aadam kee magar Meraa azaab-e-dar-badree meree naa-karda-gunaahee hai Sang to koee baDh ke uThaao shaakh-e-samar Kuch duur naheen Jis ko bulandee samjhe ho un haathon kee kotaahee hai Phir koee manzar phir vahee gardish kya kiije ai koo-e-nigaar Mere liye zanjeer-e-guloo meree aavaara-nigaahee hai Bahr-e-khuda khaamosh raho bas dekhte jaao ahl-e-nazar Kya laghzeeda-qadam hain us ke kya duzdeeda-nigaahee hai Diid ke qaabil hai to sahee 'majrooh' tiree mastaana-ravee Gard-e-havaa hai rakht-e-safar raste kaa shajar ham-raahee hai