mujhe sahl ho gaiin manzilen wo havaa ke rukh bhi badal gae
— Majrooh Sultanpuri
Mujhe sahl ho ga.iin manzilen wo havaa ke rukh bhee badal ga.e
Tiraa haath haath men aa gaya ki charaagh raah men jal ga.e
Wo lajaa.e mere savaal par ki uThaa sake na jhukaa ke sar
UDee zulf chehre pe is tarah ki shabon ke raaz machal ga.e
Vahee baat jo wo na kah sake mire sher-o-naghma men aa ga.ee
Vahee lab na main jinhen chhoo sakaa qadah-e-sharaab men Dhal ga.e
Vahee aastaan hai vahee jabeen vahee ashk hai vahee aasteen
Dil-e-zaar too bhee badal kaheen ki jahaan ke taur badal ga.e
Tujhe chashm-e-mast pata bhee hai ki shabaab garmee-e-bazm hai
Tujhe chashm-e-mast khabar bhee hai ki sab aabgeene pighal ga.e
Mire kaam aa ga.iin aakhirash yahee kaavishen yahee gardishen
BaDheen is qadar miree manzilen ki qadam ke khaar nikal ga.e