nigaah e nsaaqi e aa mehrbaan ye kya jaane
— Majrooh Sultanpuri
Nigaah-e-saaqee-e-naa-mehrbaan ye kya jaane
Ki Toot jaate hain khud dil ke saath paimaane
Milee jab un se nazar bas raha thaa ek jahaan
HaTee nigaah to chaaron taraf the veeraane
Hayaat laghzish-e-paiham kaa naam hai saaqee
Labon se jaam lagaa bhee sakoon khuda jaane
Tabassumon ne nikhaaraa hai Kuch to saaqee ke
Kuch ahl-e-gham ke sanvaare hue hain mai-khaane
Ye aag aur nahin dil kee aag hai naadaan
Charaagh ho ki na ho jal-bujhenge parvaane
Fareb-e-saaqi-e-mahfil na poochhiye 'majrooh'
Sharaab ek hai badle hue hain paimaane