suu e maqtal ki pae sair e chaman jaate hain
— Majrooh Sultanpuri
Soo-e-maqtal ki pa.e sair-e-chaman jaate hain
Ahl-e-dil jaam-ba-kaf sar-ba-kafan jaate hain
Aa ga.ee fasl-e-junoon Kuch to karo deevaano
Abr sahraa kee taraf saaya-fagan jaate hain
Us ko dekhaa nahin tum ne ki yahee koocha o raah
Shaakh-e-gul shokhi-e-raftaar se ban jaate hain
Wo agar baat na poochhe to karen kya ham bhee
Aap hee rooThte hain aap hee man jaate hain
Bulbulo apnee navaa faiz hai un aankhon kaa
Jin se ham seekhne andaaz-e-sukhan jaate hain
Jo Thahartee to zaraa chalte sabaa ke hamraah
Yuun bhee ham roz kahaan soo-e-chaman jaate hain
LuT gaya qaafila-e-ahl-e-junoon bhee shaayad
Log haathon men liye taar-e-rasan jaate hain
Rok saktaa hamen zindaan-e-balaa kya 'majrooh'
Ham to awaaz hain deevaar se chhan jaate hain