ab kahaan jaa ke ye samjhaaen ki kya hota hai
— Makhdoom Mohiuddin
Ab kahaan jaa ke ye samjhaa.en ki kya hota hai
Ek aansoo jo sar-e-chashm-e-wafa hota hai
Is guzargaah men is dasht men ai jazba-e-ishq
Juz tire kaun yahaan aabla-paa hota hai
Dil kee mehraab men ik sham.a jalee thee sar-e-shaam
Sub.h-dam maatam-e-arbaab-e-wafa hota hai
Diip jalte hain dilon men ki chitaa jaltee hai
Ab kee deevaalee men dekhenge ki kya hota hai
Jab barastee hai tiree yaad kee rangeen phuvaar
Phuul khilte hain dar-e-mai-kada vaa hota hai