daraaz hai shab e gam soz o saaz saath rahe
— Makhdoom Mohiuddin
Daraaz hai shab-e-gham soz-o-saaz saath rahe
Musaafiro mai-e-meenaa-gudaaz saath rahe
Qadam qadam pe andheron kaa saamnaa hai yahaan
Safar kaThin hai dam-e-sho.ala-saaz saath rahe
Ye koh kya hai ye dasht-e-alam-fazaa kya hai
Jo ik tiree nigah-e-dil-navaaz saath rahe
Koee rahe na rahe ek aah ik aansoo
Ba-sad khuloos ba-sad imtiyaaz saath rahe
Ye mai-kada hai naheen sair-e-dair sair-e-haram
Nazar-afeef dil-e-paak-baaz saath rahe