raushan hai bazm e shoala rukhaan dekhte chalen

Makhdoom Mohiuddin

Raushan hai bazm-e-sho.ala-rukhaan dekhte chalen Is men wo ek noor-e-jahaan dekhte chalen Vaa ho rahee hai mai-kada-e-neem-shab kee aankh Angdhaai le raha hai jahaan dekhte chalen Sargoshiyon kee raat hai rukhsaar o lab kee raat Ab ho rahee hai raat javaan dekhte chalen Dil men utar ke sair-e-dil-e-rah-ravaan karen Aahon men Dhal ke zabt-e-fughaan dekhte chalen Kaise hain khaanqaah men arbaab-e-khaanqaah Kis haal men hai peer-e-mughaan dekhte chalen Maazee kee yaadgaar sahee yaad-e-dil to hai Tarz-e-nashaat-e-nauha-garaan dekhte chalen Sab vasvase hain gard-e-rah-e-kaarvaan ke saath Aage hai mish.alon kaa dhuaan dekhte chalen Aanchal se uD rahe hain fazaaon men duur duur Shaayad vahee ho jaan-e-butaan dekhte chalen Aa hee ga.e hain raqs-gah-e-gul-rukhaan men ham Kuch rang-o-boo kaa sail-e-ravaan dekhte chalen