saaz aahista zaraa gardish e jaam aahista
— Makhdoom Mohiuddin
Saaz aahista zaraa gardish-e-jaam aahista
Jaane kya aa.e nigaahon kaa payaam aahista
Chaand utraa ki utar aa.e sitaare dil men
Khvaab men honTon pe aayaa tiraa naam aahista
Koo-e-jaanaan men qadam paDte hain halke halke
Aashiyaane kee taraf taa.ir-e-baam aahista
Un ke pahloo ke mahakte hue shaadaan jhonke
Yuun chale jaise sharaabee kaa khiraam aahista
Aur bhee baiThe hain ai dil zaraa aahista dhaDak
Bazm hai pahloo-ba-pahloo hai kalaam aahista
Ye tamannaa hai ki uDtee huee manzil kaa ghubaar
Sub.h ke parde men yaad aa ga.ee shaam aahista