sahar se raat ki sargoshiyaan bahaar ki baat

Makhdoom Mohiuddin

Sahar se raat kee sargoshiyaan bahaar kee baat Jahaan men aam huee chashm-e-intizaar kee baat Dilon kee tishnagee jitnee dilon kaa gham jitnaa Usee qadar hai zamaane men husn-e-yaar kee baat Jahaan bhee baiThe hain jis jaa bhee raat mai pee hai Unhee kee aankhon ke qisse unhee ke pyaar kee baat Chaman kee aankh bhar aa.ee kalee kaa dil dhaDkaa Labon pe aa.ee hai jab bhee kisee qaraar kee baat Ye zard zard ujaale ye raat raat kaa dard Yahee to rah ga.ee ab jaan-e-be-qaraar kee baat Tamaam umr chalee hai tamaam umr chale Ilaahee khatm na ho yaar-e-gham-gusaar kee baat