tere diivaane tirii chashm o nazar se pahle

Makhdoom Mohiuddin

Tere deevaane tiree chashm o nazar se pahle Daar se guzre tiree raahguzar se pahle Bazm se duur wo gaataa raha tanhaa tanhaa So gaya saaz pe sar rakh ke sahar se pahle Is andhere men ujaalon kaa gumaan tak bhee na thaa Sho.ala-roo sho.ala-navaa shola-nazar se pahle Kaun jaane ki ho kya rang-e-sahar rang-e-chaman Mai-kada raqs men hai pichhle pahar se pahle Nik.hat-e-yaar se aabaad hai har kunj-e-qafas Mil ke aa.ee hai sabaa us gul-e-tar se pahle