tum gulistaan se gae ho to gulistaan chup hai
— Makhdoom Mohiuddin
Tum gulistaan se ga.e ho to gulistaan chup hai
Shaakh-e-gul khoee huee murgh-e-khush-ilhaan chup hai
Ufuq-e-dil pe dikhaa.ee naheen detee hai dhanak
Gham-zada mausam-e-gul abr-e-bahaaraan chup hai
Aalam-e-tishnagee-e-baada-gusaaraan mat poochh
Mai-kada duur hai meenaa-e-zar-afshaan chup hai
Aur aage na baDhaa qissa-e-dil qissa-e-gham
DhaDkanen chup hain sarishk-e-sar-e-mizhgaan chup hai
Shahr men ek qayaamat thee qayaamat na rahee
Hashr khaamosh huaa fitna-e-dauraan chup hai
Na kisee aah kee awaaz na zanjeer kaa shor
Aaj kya ho gaya zindaan men ki zindaan chup hai