usii chaman men chalen jashn e yaad e yaar karen
— Makhdoom Mohiuddin
Usee chaman men chalen jashn-e-yaad-e-yaar karen
Dilon ko chaak garebaan ko taar-taar karen
Shameem-e-pairahan-e-yaar kya nisaar karen
Tujhee ko dil se lagaa len tujhee ko pyaar karen
Sunaatee phirtee hain aankhen kahaaniyaan kya kya
Ab aur kya kahen kis kis ko sogvaar karen
UTho ki fursat-e-deevaangee ghaneemat hai
Qafas ko le ke uDen gul ko ham-kanaar karen
Kamaan-e-abru-e-khoobaan kaa baankpan hai ghazal
Tamaam raat ghazal gaa.en deed-e-yaar karen