ye kaun aataa hai tanhaaiyon men jaam liye
— Makhdoom Mohiuddin
Ye kaun aataa hai tanhaa.iyon men jaam liye
Jilau men chaandnee raaton kaa ehtimaam liye
ChaTak rahee hai kisee yaad kee kalee dil men
Nazar men raqs-e-bahaaraan kee sub.h-o-shaam liye
Hujoom-e-baadaa-o-gul men hujoom-e-yaaraan men
Kisee nigaah ne jhuk kar mire salaam liye
Kisee khayaal kee khushboo kisee badan kee mahak
Dar-e-qafas pe khaDee hai sabaa payaam liye
Mahak mahak ke jagaatee rahee naseem-e-sahar
Labon pe yaar-e-maseehaa-nafas kaa naam liye
Bajaa raha thaa kaheen duur koee shahnaa.ee
UThaa hoon aankhon men ik khvaab-e-naa-tamaam liye