baaten hamaarii yaad rahen phir baaten aisii na suniyegaa

Meer Taqi Meer

Baaten hamaaree yaad rahen phir baaten aisi na suniyegaa PaDhte kisoo ko suniyegaa to der talak sar dhuniyegaa Sa.ee o talaash bahut see rahegee is andaaz ke kahne kee Sohbat men ulmaa fuzlaa kee jaa kar paDhiye ginyegaa Dil kee tasallee jab ki hogee guft o shunood se logon kee Aag phunkegee gham kee badan men us men jaliye bhuniyegaa Garm ash.aar 'meer' daroona daaghon se ye bhar denge Zard-roo shahr men phiriyegaa galiyon men ne gul chuniyegaa