hamaare aage tiraa jab kisuu ne naam liyaa
— Meer Taqi Meer
Hamaare aage tiraa jab kisoo ne naam liyaa
Dil-e-sitam-zada ko ham ne thaam thaam liyaa
Qasam jo khaa.iye to taala-e-zulekhaa kee
Azeez-e-misr kaa bhee saahab ik ghulaam liyaa
Kharaab rahte the masjid ke aage mai-khaane
Nigaah-e-mast ne saaqee kee intiqaam liyaa
Wo kaj-ravish na milaa raaste men mujh se kabhi
Na seedhee tarah se un ne miraa salaam liyaa
Mazaa dikhaavenge be-rahmee kaa tiree sayyaad
Gar iztiraab-e-aseeree ne zer-e-daam liyaa
Mire saleeqe se meree nibhee mohabbat men
Tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
Agarche gosha-guzeen hoon main shaa.iron men 'meer'
Pa mere shor ne roo-e-zameen tamaam liyaa