hasti apnii habaab ki sii hai
— Meer Taqi Meer
Hastee apnee habaab kee see hai
Ye numaa.ish saraab kee see hai
Naazukee us ke lab kee kya kahiye
PankhuDee ik gulaab kee see hai
Chashm-e-dil khol is bhee aalam par
Yaan kee auqaat khvaab kee see hai
Baar baar us ke dar pe jaataa hoon
Haalat ab iztiraab kee see hai
Nuqta-e-khaal se tiraa abroo
Bait ik intikhaab kee see hai
Main jo bolaa kahaa ki ye awaaz
Usee khaana-kharaab kee see hai
Aatish-e-gham men dil bhunaa shaayad
Der se boo kabaab kee see hai
Dekhiye abr kee tarah ab ke
Meree chashm-e-pur-aab kee see hai
'meer' un neem-baaz aankhon men
Saaree mastee sharaab kee see hai