is ahd men ilaahii mohabbat ko kya huaa
— Meer Taqi Meer
Is ahd men ilaahee mohabbat ko kya huaa
ChhoDaa wafa ko un ne muravvat ko kya huaa
Ummid-vaar-e-waada-e-deedaar mar chale
Aate hee aate yaaro qayaamat ko kya huaa
Kab tak tazallum aah bhalaa marg ke ta.iin
Kuch pesh aayaa vaaqi.a rahmat ko kya huaa
Us ke ga.e par aise ga.e dil se ham-nasheen
Ma.aloom bhee huaa na ki taaqat ko kya huaa
Bakhshish ne mujh ko abr-e-karam kee kiyaa khajil
Ai chashm josh-e-ashk-e-nadaamat ko kya huaa
Jaataa hai yaar tegh-ba-kaf ghair kee taraf
Ai kushta-e-sitam tiree ghairat ko kya huaa
Thee sa.ab aashiqee kee badaayat hee 'meer' par
Kya jaaniye ki haal-e-nihaayat ko kya huaa