kya haqiiqat kahuun ki kya hai ishq

Meer Taqi Meer

Kya haqeeqat kahoon ki kya hai ishq Haq-shanaason ke haan khuda hai ishq Dil lagaa ho to jee jahaan se uThaa Maut kaa naam pyaar kaa hai ishq Aur tadbeer ko nahin Kuch dakhl Ishq ke dard kee davaa hai ishq Kya Dubaayaa muheet men gham ke Ham ne jaanaa thaa aashnaa hai ishq Ishq se jaa nahin koi khaalee Dil se le arsh tak bharaa hai ishq Kohkan kya pahaaD kaaTegaa Parde men zor-aazmaa hai ishq Ishq hai ishq karne vaalon ko Kaisaa kaisaa baham kiyaa hai ishq Kaun maqsad ko ishq bin pahunchaa Aarzoo ishq mudda.aa hai ishq 'meer' marnaa paDe hai khoobaan par Ishq mat kar ki bad balaa hai ishq