kya kahuun tum se main ki kya hai ishq
— Meer Taqi Meer
Kya kahoon tum se main ki kya hai ishq
Jaan kaa rog hai balaa hai ishq
Ishq hee ishq hai jahaan dekho
Saare aalam men bhar raha hai ishq
Ishq hai tarz o taur ishq ke ta.iin
Kaheen banda kaheen khuda hai ishq
Ishq ma.ashooq ishq aashiq hai
Ya.anee apna hee mubtalaa hai ishq
Gar parastish khuda kee saabit kee
Kisoo soorat men ho bhalaa hai ishq
Dilkash aisa kahaan hai dushman-e-jaan
Mudda.ee hai pa mudda.aa hai ishq
Hai hamaare bhee taur kaa aashiq
Jis kisee ko kaheen huaa hai ishq
Koi khvaahaan nahin mohabbat kaa
Too kahe jins-e-naa-ravaa hai ishq
'meer'-jee zard hote jaate ho
Kya kaheen tum ne bhee kiyaa hai ishq