ultii ho gaiin sab tadbiiren Kuch na davaa ne kaam kiyaa

Meer Taqi Meer

UlTee ho ga.iin sab tadbeeren Kuch na davaa ne kaam kiyaa Dekhaa is beemaari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiyaa Ahd-e-javaanee ro ro kaaTaa piiree men liin aankhen muund Ya.anee raat bahut the jaage sub.h huee aaraam kiyaa Harf nahin jaan-bakhshee men us kee khoobee apnee qismat kee Ham se jo pahle kah bhejaa so marne kaa paighaam kiyaa Naahaq ham majbooron par ye tohmat hai mukhtaaree kee Chaahte hain so aap karen hain ham ko abas badnaam kiyaa Saare rind aubaash jahaan ke tujh se sujood men rahte hain Baanke TeDhe tirchhe teekhe sab kaa tujh ko imaam kiyaa Sarzad ham se be-adabee to vahshat men bhee kam hee huee Koson us kee or ga.e par sajda har har gaam kiyaa Kis kaa ka.aba kaisaa qibla kaun haram hai kya ehraam Kooche ke us ke baashindon ne sab ko yaheen se salaam kiyaa Shaikh jo hai masjid men nangaa raat ko thaa mai-khaane men Jubba khirqa kurtaa Topee mastee men in.aam kiyaa Kaash ab burqa munh se uThaa de varna phir kya haasil hai Aankh munde par un ne go deedaar ko apne aam kiyaa Yaan ke sapeed o siyah men ham ko dakhl jo hai so itnaa hai Raat ko ro ro sub.h kiyaa yaa din ko juun tuun shaam kiyaa Sub.h chaman men us ko kaheen takleef-e-havaa le aa.ee thee Rukh se gul ko mol liyaa qaamat se sarv ghulaam kiyaa Saa.ad-e-seemeen donon us ke haath men laa kar chhoD diye Bhoole us ke qaul-o-qasam par haa.e khayaal-e-khaam kiyaa Kaam hue hain saare zaa.e.a har saa.at kee samaajat se Istighnaa kee chaugunee un ne juun juun main ibraam kiyaa Aise aahu-e-ram-khurda kee vahshat khonee mushkil thee Sehr kiyaa e.ajaaz kiyaa jin logon ne tujh ko raam kiyaa 'meer' ke deen-o-maz.hab ko ab poochhte kya ho un ne to Qashqa kheenchaa dair men baiThaa kab kaa tark islaam kiyaa