aamad e sailaab e tuufaan e sadaa e aab hai

Mirza Ghalib

Aamad-e-sailaab-e-toofaan-e-sadaa-e-aab hai Naqsh-e-paa jo kaan men rakhtaa hai unglee jaada se Bazm-e-mai vahshat-kada hai kis kee chashm-e-mast kaa Sheeshe men nabz-e-paree pinhaan hai mauj-e-baada se Dekhtaa huun vahshat-e-shauq-e-kharosh-aamaada se Faal-e-rusvaa.ee sirishk-e-sar-ba-sahraa-daada se Daam gar sabze men pinhaan keejiye taa.oos ho Josh-e-nairang-e-bahaar arz-e-sahraa-daada se Khema-e-lailaa siyaah o khaana-e-majnoon kharaab Josh-e-veeraanee hai ishq-e-daagh-e-bairoon-daada se Bazm-e-hastee vo tamaashaa hai ki jis ko ham 'asad' Dekhte hain chashm-e-az-khvaab-e-adam-nakushaada se