az mehr taa ba zarra dil o dil hai aaina

Mirza Ghalib

Az-mehr taa-ba-zarra dil-o-dil hai aa.ina Tuutee ko shash-jihat se muqaabil hai aa.ina Hairat hujoom-e-lazzat-e-ghaltaanee-e-tapish Seemaab-e-baalish o kamar-e-dil hai aa.ina Ghaflat ba-baal-e-jauhar-e-shamsheer par-fishaan Yaan pusht-e-chashm-e-shokhee-e-qaatil hai aa.ina Hairat-nigaah-e-barq-e-tamaashaa bahaar-e-shokh Dar-parda-e-havaa par-e-bismil hai aa.ina Yaan rah ga.e hain naakhun-e-tadbeer TuuT kar Jauhar-tilism-e-uqda-e-mushkil hai aa.ina Ham-zaanoo-e-ta.ammul o ham-jalva-gaah-e-gul Aa.eena-band khalvat-o-mahfil hai aa.ina Dil kaar-gaah-e-fikr o 'asad' be-navaa-e-dil Yaan sang-e-aastaana-e-'bedil' hai aa.ina