ba naala haasil e dil bastagii faraaham kar
— Mirza Ghalib
Ba-naala haasil-e-dil-bastagee faraaham kar
Mataa-e-khaana-e-zanjeer juz sadaa maa'loom
Ba-qadr-e-hausla-e-ishq jalva-rezee hai
Vagarna khaana-e-aa.eena kee fazaa maa'loom
Bahaar dar-girau-e-ghuncha shahr-e-jaulaan hai
Tilism-e-naaz ba-juz tangee-e-qabaa maa'loom
Tilism-e-khaak kameen-gaah-e-yak-jahaan saudaa
Ba-marg takiya-e-aasaa.ish-e-fanaa maa'loom
Takalluf aa.ina-e-do-jahaan madaaraa hai
Suraagh-e-yak-na-gah-e-qahr-aashnaa maa'loom
'asad' farefta-e-intikhaab-e-tarz-e-jafaa
Vagarna dilbaree-e-vaada-e-vafaa maa'loom