baag paa kar khafaqaanii ye daraataa hai mujhe
— Mirza Ghalib
Baagh paa kar khafaqaanee ye Daraataa hai mujhe
Saaya-e-shaakh-e-gul af'ee nazar aataa hai mujhe
Jauhar-e-tegh ba-sar-chashma-e-deegar ma.aloom
Huun main vo sabza ki zahraab ugaataa hai mujhe
Mudda'aa mahv-e-tamaashaa-e-shikast-e-dil hai
Aa.ina-khaana men koee liye jaataa hai mujhe
Naala sarmaaya-e-yak-aalam o aalam kaf-e-khaak
Aasmaan baiza-e-qumree nazar aataa hai mujhe
Zindagee men to vo mahfil se uThaa dete the
Dekhoon ab mar ga.e par kaun uThaataa hai mujhe
Baagh tujh bin gul-e-nargis se Daraataa hai mujhe
Chaahoon gar sair-e-chaman aankh dikhaataa hai mujhe
Shor-e-timsaal hai kis rashk-e-chaman kaa yaa rab
Aa.ina baiza-e-bulbul nazar aataa hai mujhe
Hairat-e-aa.ina anjaam-e-junoon huun jyuun sham'
Kis qadar daagh-e-jigar sho'la uThaataa hai mujhe
Main huun aur hairat-e-jaaved magar zauq-e-khayaal
Ba-fusoon-e-nigah-e-naaz sataataa hai mujhe
Hairat-e-fikr-e-sukhan saaz-e-salaamat hai 'asad'
Dil pas-e-zaanoo-e-aa.eena biThaataa hai mujhe