barshikaal e girya e aashiq hai dekhaa chaahiye

Mirza Ghalib

Barshikaal-e-girya-e-aashiq hai dekhaa chaahiye Khil ga.ee maanind-e-gul sau jaa se deevaar-e-chaman Ulfat-e-gul se ghalat hai daava-e-vaarastagee Sarv hai baa-vasf-e-aazaadee giraftaar-e-chaman Saaf hai az bas-ki aks-e-gul se gulzaar-e-chaman Jaanasheen-e-jauhar-e-aa.eena hai khaar-e-chaman Hai nazaakat bas ki fasl-e-gul men me.amaar-e-chaman Qaalib-e-gul men Dhalee hai khisht-e-deevaar-e-chaman Teree aaraa.ish kaa istiqbaal kartee hai bahaar Jauhar-e-aa.eena hai yaan naqsh-e-ehzaar-e-chaman Bas ki paa.ee yaar kee rangeen-adaa.ee se shikast Hai kulaah-e-naaz-e-gul bar taaq-e-deevaar-e-chaman Vaqt hai gar bulbul-e-miskeen zulekhaa.i kare Yoosuf-e-gul jalva-farmaa hai ba-baazaar-e-chaman Vahshat-afzaa girya-haa mauqoof-e-fasl-e-gul 'asad' Chashm-e-dariyaa-rez hai meezaab-e-sarkaar-e-chaman