chaak kii khvaahish agar vahshat ba uryaanii kare
— Mirza Ghalib
Chaak kee khvaahish agar vahshat ba-uryaanee kare
Sub.h ke maanind zakhm-e-dil garebaanee kare
Jalve kaa tere vo 'aalam hai ki gar kiije khayaal
Deeda-e-dil ko ziyaarat-gaah-e-hairaanee kare
Hai shikastan se bhee dil naumeed yaa-rab kab talak
Aabgeena koh par arz-e-giraan-jaanee kare
Mai-kada gar chashm-e-mast-e-naaz se paave shikast
Moo-e-sheesha deeda-e-saaghar kee mizhgaanee kare
Khatt-e-aariz se likhaa hai zulf ko ulfat ne 'ahd
Yak-qalam manzoor hai jo kuchh pareshaanee kare
Haath par gar haath maare yaar vaqt-e-qahqaha
Kirmak-e-shab-taab-aasaa mah par-afshaanee kare
Vaqt us uftaada kaa khush jo qanaa'at se asad
Naqsh-paa-e-mor ko takht-e-sulaimaanee kare