chashm e khuubaan khaamushii men bhii navaa pardaaz hai
— Mirza Ghalib
Chashm-e-khoobaan khaamushee men bhee navaa-pardaaz hai
Surma to kahve ki dood-e-sho.ala-e-aavaaz hai
Paikar-e-ushshaaq saaz-e-taala-e-naa-saaz hai
Naala goyaa gardish-e-saiyyaara kee aavaaz hai
Dast-gaah-e-deeda-e-khoon-baar-e-majnoon dekhnaa
Yak-bayaabaan jalva-e-gul farsh-e-paa-andaaz hai
Chashm-e-khoobaan mai-farosh-e-nashshah-zaar-e-naaz hai
Surma goyaa mauj-e-dood-e-shola-e-aavaaz hai
Hai sareer-e-khaama rezish-haa-e-istiqbaal-e-naaz
Naama khud paighaam ko baal-o-par-e-parvaaz hai
Sar-navisht-e-iztiraab-anjaami-e-ulfat na poochh
Naal-e-khaama khaar-khaar-e-khaatir-e-aaghaaz hai
Naala-e-dil naghma-rezaan hai ba-mizraab-e-khayaal
Rishta-e-paa yaan navaa-saamaan-e-band-e-saaz hai
Sharm hai tarz-e-talaash-e-intikhaab-e-yak-nigaah
Iztiraab-e-chashm barpaa dokhta-ghammaaz hai
Shokhi-e-iz.haar ko juz vahshat-e-majnoon 'asad'
Bas-ki lailaa-e-sukhan mahmil-nasheen-e-raaz hai