gaafil ba vahm e naaz khud aaraa hai varna yaan

Mirza Ghalib

Ghaafil ba-vahm-e-naaz khud-aaraa hai varna yaan Be-shaana-e-sabaa naheen turra gayaah kaa Bazm-e-qadah se aish-e-tamannaa na rakh ki rang Said-e-ze-daam-e-jasta hai us daam-gaah kaa Rahmat agar qubool kare kyaa ba.iid hai Sharmindagee se uzr na karnaa gunaah kaa Maqtal ko kis nashaat se jaataa huun main ki hai Pur-gul khayaal-e-zakhm se daaman nigaah kaa Jaan dar-havaa-e-yak-nigah-e-garm hai 'asad' Parvaana hai vakeel tire daad-khvaah kaa Taa.oos-e-dar-rikaab hai har zarra aah kaa Yaa-rab nafas ghubaar hai kis jalva-gaah kaa Uzlat-guzeen-e-bazm hain vaamaandagaan-e-deed Meenaa-e-mai hai aabla paa-e-nigaah kaa Har gaam aable se hai dil dar-tah-e-qadam Kyaa biim ahl-e-dard ko sakhtee-e-raah kaa Jeb-e-niyaaz-e-ishq nishaan-daar-e-naaz hai Aa.eena huun shikastan-e-tarf-e-kulaah kaa