hai sabza zaar har dar o diivaar e gam kada
— Mirza Ghalib
Hai sabza-zaar har dar-o-deevaar-e-gham-kada
Jis kee bahaar ye ho phir us kee khizaan na poochh
Naa-chaar bekasee kee bhee hasrat uThaa.iye
Dushvaari-e-rah-o-sitam-e-ham-rahaan na poochh
Juz dil suraagh-e-dard ba-dil-khuftagaan na poochh
Aa.eena arz kar khat-o-khaal-e-bayaan na poochh
Hindostaan saaya-e-gul paa-e-takht thaa
Jaah-o-jalaal-e-ahd-e-visaal-e-butaan na poochh
Parvaaz-e-yak-tap-e-gham-e-taskheer-e-naala hai
Garmee-e-nabz-e-nabz-e-khaar-o-khas-e-aashiyaan na poochh
Too mashq-e-baaz kar dil-e-parvaana hai bahaar
Betaabee-e-tajallee-e-aatish-ba-jaan na poochh
Ghaflat-mataa-e-kaffa-e-meezaan-e-adl huun
Yaa rab hisaab-e-sakhti-e-khvaab-e-giraan na poochh
Har daagh-e-taaza yak-dil-e-daagh intizaar hai
Arz-e-fazaa-e-seena-e-dard imtihaan na poochh
Kahtaa thaa kal vo mahram-e-raaz apne se ki aah
Dard-e-judaa.i-e-'asad'-ullaah-khaan na poochh