hai vasl hijr aalam e tamkiin o zabt men
— Mirza Ghalib
Hai vasl hijr aalam-e-tamkeen-o-zabt men
Maashooq-e-shokh o aashiq-e-deevaana chaahiye
Us lab se mil hee jaa.egaa bosa kabhee to haan
Shauq-e-fuzool o jur.at-e-rindaana chaahiye
Aashiq naqaab-e-jalva-e-jaanaana chaahiye
Faanoos-e-sham.a ko par-e-parvaana chaahiye
Paidaa karen dimaagh-e-tamaashaa-e-sarv-o-gul
Hasrat-kashon ko saaghar-o-meenaa na chaahiye
Deevaanagaan hain haamil-e-raaz-e-nihaan-e-'ishq
Ai be-tameez ganj ko veeraana chaahiye
Saaqee bahaar-e-mausam-e-gul hai suroor-bakhsh
Paimaan se ham guzar ga.e paimaana chaahiye
Jaada hai yaar kee ravish-e-guftugoo 'asad'
Yaan juz fusoon naheen agar afsaana chaahiye