hujuum e naala hairat aajiz e arz yak afgaan hai
— Mirza Ghalib
Hujoom-e-naala hairat aajiz-e-arz yak-afghaan hai
Khamoshee resha-e-sad-neestaan se khas-ba-dandaan hai
Takalluf-bar-taraf hai jaan-sitaan-tar lutf-e-bad-khooyaan
Nigaah-e-be-hijaab-e-naaz tegh-e-tez-e-uryaan hai
Huee ye kasrat-e-gham se talaf kaifiyat-e-shaadee
Ki sub.h-e-eed mujh ko bad-tar az-chaak-e-garebaan hai
Dil o diin naqd laa saaqee se gar saudaa kiyaa chaahe
Ki us baazaar men saaghar mataa-e-dast-gardaan hai
Gham aaghosh-e-balaa men parvarish detaa hai aashiq ko
Charaagh-e-raushan apnaa qulzum-e-sarsar kaa marjaan hai
Takalluf saaz-e-rusvaa.ee hai ghaafil sharm-e-ranaa.ee
Dil-e-khoon-gashta dar dast-e-hinaa-aalooda uryaan hai
'asad' jam.iyat-e-dil dar-kinaar-e-be-khudee khush-tar
Do-aalam aagahee saamaan-e-yak-khvaab-e-pareshaan hai