jaada e rah khur ko vaqt e shaam hai taar e shuaaa
— Mirza Ghalib
Jaada-e-rah khur ko vaqt-e-shaam hai taar-e-shuaa.a
Charkh vaa kartaa hai maah-e-nau se aaghosh-e-vidaa.a
Sham.a se hai bazm-e-angusht-e-tahayyur dar dahan
Sho.ala-e-aavaaz-e-khoobaan par ba-hangaam-e-simaa.a
Juun par-e-taa.oos jauhar takhta mashq-e-rang hai
Bas-ki hai vo qibla-e-aa.eena mahv-e-ikhtiraa.a
Ranjish-e-hairat-sarishtaan seena-saafee peshkash
Jauhar-e-aa.eena hai yaan gard-e-maidaan-e-nazaa.a
Chaar soo-e-dahr men baazaar-e-ghaflat garm hai
Aql ke nuqsaan se uThtaa hai khayaal-e-intifaa.a
Aashnaa 'ghaalib' naheen hain dard-e-dil ke aashnaa
Varna kis ko mere afsaane kee taab-e-istimaa.a