jaraahat tohfa almaas armugaan daag e jigar hadiya
— Mirza Ghalib
Jaraahat-tohfa almaas-armughaan daagh-e-jigar hadiya
Mubaarakbaad 'asad' gham-khvaar-e-jaan-e-dardmand aayaa
Junoon garm intizaar o naala betaabee kamand aayaa
Suvaidaa taa ba-lab zanjeeree-e-dood-e-sipand aayaa
Mah-e-akhtar-fashaan kee bahr istiqbaal aankhon se
Tamaashaa kishvar-e-aa.eena men aa.eena-band aayaa
Taghaaful bad-gumaanee balki meree sakht-jaanee se
Nigaah-e-be-hijaab-e-naaz ko beem-e-gazand aayaa
Fazaa-e-khanda-e-gul tang o zauq-e-aish be-parvaa
Faraaghat-gaah-e-aaghosh-e-vidaa-e-dil-pasand aayaa
Adam hai khair-khvaah-e-jalva ko zindaan-e-betaabi
Khiraam-e-naaz barq-e-khirman-e-sa.ee-e-sipand aayaa