junuun kii dast giirii kis se ho gar ho na uryaanii
— Mirza Ghalib
Junoon kee dast-geeree kis se ho gar ho na uryaanee
Garebaan-chaak kaa haq ho gayaa hai meree gardan par
Ba-rang-e-kaaghaz-e-aatish-zada nairang-e-betaabee
Hazaar aa.eena dil baandhe hai baal-e-yak-tapeedan par
Falak se ham ko aish-e-rafta kaa kyaa kyaa taqaazaa hai
Mataa-e-burda ko samjhe hue hain qarz rahzan par
Ham aur vo be-sabab ranj-aashnaa dushman ki rakhtaa hai
Shuaa-e-mehr se tohmat nigah kee chashm-e-rauzan par
Fanaa ko saunp gar mushtaaq hai apnee haqeeqat kaa
Farogh-e-taala-e-khaashaak hai mauqoof gulkhan par
'asad' bismil hai kis andaaz kaa qaatil se kahtaa hai
Ki mashq-e-naaz kar khoon-e-do-aalam meree gardan par
Fusoon-e-yak-dilee hai lazzat-e-bedaad dushman par
Ki vajd-e-barq juun parvaana baal-afshaan hai khirman par
Takalluf khaar-khaar-e-iltimaas-e-be-qaraaree hai
Ki rishta baandhtaa hai pairahan angusht-e-sozan par
Ye kyaa vahshat hai ai deevaane pesh-az-marg vaavailaa
Rakkhee be-jaa binaa-e-khaana-e-zanjeer-e-shevan par