kaar gaah e hastii men laala daag saamaan hai
— Mirza Ghalib
Kaar-gaah-e-hastee men laala daagh-saamaan hai
Barq-e-khirman-e-raahat khoon-e-garm-e-dahqaan hai
Ghuncha taa shaguftan-haa barg-e-aafiyat maa'loom
Baa-vajood-e-dil-jam.ee khvaab-e-gul pareshaan hai
Ham se ranj-e-betaabee kis tarah uThaayaa jaa.e
Daagh pusht-e-dast-e-ijz sho'la khas-ba-dandaan hai
Hairat tapeedan-haa khuun bahaa-e-deedan-haa
Rang-e-gul ke parde men aa.eena pur-afshaan hai
'ishq ke taghaaful se harzah-gard hai 'aalam
Roo-e-shash-jihat-aafaaq pusht-e-chashm-e-zindaan hai
Gul-ba-koh az laala bazm-e-saaz-e-betaabi
Misl-e-dood-e-mijmarhaa daagh baal afshaan hai
Ai karam na ho ghaafil varna hai 'asad' be-dil
Be-guhar sadaf goyaa pusht-e-chashm-e-naisaan hai