kare hai baada tire lab se kasb e rang e farog

Mirza Ghalib

Kare hai baada tire lab se kasb-e-rang-e-farogh Khat-e-piyaala saraasar nigaah-e-gul-cheen hai Kabhee to is dil-e-shoreeda kee bhee daad mile Ki ek umr se hasrat-parast-e-baaleen hai Bajaa hai gar na sune naala-haa-e-bulbul-e-zaar Ki gosh-e-gul nam-e-shabnam se pamba-aageen hai 'asad' hai naza.a men chal bevafaa baraa-e-khudaa Maqaam-e-tark-e-hijaab o vidaa-e-tamkeen hai