lataafat be kasaafat jalva paidaa kar nahiin saktii

Mirza Ghalib

Lataafat be-kasaafat jalva paidaa kar naheen saktee Chaman zangaar hai aa.eena-e-baad-e-bahaaree kaa Hareef-e-joshish-e-dariyaa naheen khuddaaree-e-saahil Jahaan saaqee ho too baatil hai da.avaa hoshiyaaree kaa Bahaar-e-rang-e-khoon-e-gul hai saamaan ashk-baaree kaa Junoon-e-barq nashtar hai rag-e-abr-e-bahaaree kaa Baraa-e-hall-e-mushkil huun zi-paa uftaada-e-hasrat Bandhaa hai uqda-e-khaatir se paimaan khaaksaaree kaa Ba-vaqt-e-sar-nigoonee hai tasavvur intizaaristaan Nigah ko aablon se shaghl hai akhtar-shumaaree kaa 'asad' saaghar-kash-e-tasleem ho gardish se gardoon kee Ki nang-e-fahm-e-mastaan hai gila bad-rozg-aaree kaa