luun vaam bakht e khufta se yak khvaab e khush vale
— Mirza Ghalib
Luun vaam bakht-e-khufta se yak-khvaab-e-khush vale
'ghaalib' ye khauf hai ki kahaan se adaa karoon
Khush vahshate ki arz-e-junoon-e-fanaa karoon
Juun ghard-e-raah jaama-e-hastee qabaa karoon
Gar baa'd-e-marg vahshat-e-dil kaa gila karoon
Mauj-e-ghubaar se pur yak dasht vaa karoon
Aa ai bahaar-e-naaz ki tere khiraam se
Dastaar gard-e-shaakh-e-gul-e-naqsh-e-paa karoon
Khush ooftaadgee ki ba-sahraa-e-intizaar
Juun jaada gard-e-rah se nigah surma-saa karoon
Sabr aur ye adaa ki dil aave aseer-e-chaak
Dard aur ye kameen ki rah-e-naala vaa karoon
Vo be-dimaagh-e-minnat-e-iqbaal huun ki main
Vahshat ba-daagh-e-saaya-e-baal-e-humaa karoon
Vo iltimaas-e-lazzat-e-be-daad huun ki main
Tegh-e-sitam ko pusht-e-kham-e-iltijaa karoon
Vo raaz-e-naala huun ki ba-sharh-e-nigaah-e-ijz
Afshaan ghubaar-e-surma se fard-e-sadaa karoon
Luun vaam bakht-e-khufta se yak khvaab-e-khush asad
Lekin ye biim hai ki kahaan se adaa karoon