mirii hastii fazaa e hairat aabaad e tamannaa hai
— Mirza Ghalib
Miree hastee fazaa-e-hairat aabaad-e-tamannaa hai
Jise kahte hain naala vo isee 'aalam kaa 'anqaa hai
Khizaan kyaa fasl-e-gul kahte hain kis ko koee mausam ho
Vahee ham hain qafas hai aur maatam baal-o-par kaa hai
Vafaa-e-dilbaraan hai ittifaaqee varna ai hamdam
Asar fariyaad-e-dil-haa-e-hazeen kaa kis ne dekhaa hai
Na laa.ee shokhi-e-andesha taab-e-ranj-e-naumeedee
Kaf-e-afsos malnaa ahd-e-tajdeed-e-tamannaa hai
Taghaaful-mashrabee se naa-tamaamee bas-ki paidaa hai
Nigaah-e-naaz chashm-e-yaar men zunnaar-e-meenaa hai
Tasarruf vahshiyon men hai tasavvur-haa-e-majnoon kaa
Savaad-e-chashm-e-aahoo aks-e-khaal-e-roo-e-lailaa hai
Mohabbat tarz-e-paivand-e-nihaal-e-dostee jaane
Daveedan resha saan muft-e-rag-e-khvaab-e-zulekhaa hai
Kiyaa yak-sar gudaaz-dil niyaaz-e-joshish-e-hasrat
Suvaidaa nuskha-e-tah-bandi-e-daagh-e-tamannaa hai
Hujoom-e-rezish-e-khoon ke sabab rang uD naheen saktaa
Hinaa-e-panja-e-saiyyaad murgh-e-rishta bar-paa hai
'asad' gar naam-e-vaalaa-e-'alee taa'veez-e-baazoo ho
Ghareeq-e-bahr-e-khoon-timsaal dar-aa.eena rahtaa hai
Asar soz-e-mohabbat kaa qayaamat be-muhaabaa hai
Ki rag se sang men tukhm-e-sharar kaa resha paidaa hai
Nihaan hai gauhar-e-maqsood jeb-e-khud-shanaasee men
Ki yaan ghavvaas hai timsaal aur aa.eena dariyaa hai
'azeezo zikr-e-vasl-e-ghair se mujh ko na bahlaao
Ki yaan afsoon-e-khvaab afsaana-e-khvaab-e-zulaikhaa hai
Tasavvur bahr-e-taskeen-e-tapeedan-haa-e-tifl-e-dil
Ba-baagh-e-rang-haa-e-rafta gul-cheen-e-tamaashaa hai
Ba-sa.i-e-ghair hai qat-e-libaas-e-khaana-veeraanee
Ki naaz-e-jaada-e-rah rishta-e-daamaan-e-sahraa hai
Mujhe shab haa.e taareek firaaq sho'la rooyaan men
Charaagh-e-khaana-e-dil sozish-e-daagh-e-tamannaa hai
Tire naukar tire dar par 'asad' ko zab.h karte hain
Sitam-gar naakhudaa taras-aashnaa-kush maajraa kyaa hai
Ba-bazm mai-parastee hasrat-e-takleef be-jaa hai
Ki jaam-e-baada kaf bar-lab ba-takleef-e-taqaazaa hai
Nashaat-e-deeda-e-beenaa hai ko khvaab va che bedaaree
Baham-aavarda mizhgaan bosa-e-roo-e-tamaashaa hai
Na laa.ee shokhi-e-andesha taab-e-dard-e-naumeedee
Kaf-e-afsos sau din 'ahd tajdeed-e-tamannaa hai
Nigah me'maar-e-hasrat-haa che aabaadee che veeraanee
Ki mizhgaan jis taraf vaa ho ba-kaf-e-daamaan-e-sahraa hai
Na sove aablon men gar sirishk-e-deeda-e-nam se
Ba-jaulaan-gaah-e-naumeedee nigaah-e-aajizaan paa hai
Ba-sakhtee-haa-e-qaid-e-zindagee maa'loom aazaadee
Sharar dar-band-e-daam-e-rishta-e-rag-haa-e-khaaraa hai
'asad' yaas-e-tamannaa se na rakh ummeed-e-aazaadee
Gudaaz-e-aarzoo-haa aab-yaar-e-aarzoo-haa hai