na leve gar khas e jauhar taraavat sabza e khat se
— Mirza Ghalib
Na leve gar khas-e-jauhar taraavat sabza-e-khat se
Lagaa.e khaana-e-aa.eena men roo-e-nigaar aatish
Farogh-e-husn se hotee hai hall-e-mushkil-e-aashiq
Na nikle sham' ke paa se nikaale gar na khaar aatish
Huee hai bas ki sarf-e-mashaq tamkeen-e-bahaar aatish
Ba-andaaz-e-hinaa hai raunaq dast-e-chinaar aatish
Sharar hai rang baa'd iz.haar-e-taab-e-jalva-e-tamkeen
Kare hai sang par khursheed aab-e-roo-e-kaar aatish
Panaave be-gudaaz-e-mom rabt-e-paikar-aaraa.ee
Nikaale kyaa nihaal-e-sham.a be-tukhm-e-sharaar aatish
Khayaal-e-dood thaa sar-josh-e-saudaa-e-ghalat-fahmee
Agar rakhtee na khaakistar-nasheenee kaa ghubaar aatish
Havaa-e-par-fishaanee barq-e-khirman-haa-e-khaatir hai
Ba-baal-e-sho.ala-e-betaab hai parvaana-zaar aatish
Naheen barq-o-sharar juz vahshat-e-zabt-e-tapeedan-haa
Bilaa gardaan-e-be-parvaa kharaamee-haa-e-yaar aatish
Dhuen se aag ke ik abr-e-dariyaa-baar ho paidaa
'asad' haidar-paraston se agar hove do-chaar aatish