na puuchh nuskha e marham jaraahat e dil kaa

Mirza Ghalib

Na poochh nuskha-e-marham jaraahat-e-dil kaa Ki us men reza-e-almaas juzv-e-aa'zam hai Bahut dinon men taghaaful ne tere paidaa kee Vo ik nigah ki ba-zaahir nigaah se kam hai Bahaar-e-taa'ziyat aabaad-e-'ishq maatam hai Ki tegh-e-yaar hilaal-e-mah-e-mahram hai Ba-rehn-e-zabt hai aa.eena-bandee-e-gauhar Vagarna bahr men har qatra chashm-e-pur-nam hai Chaman men kaun hai tarz-aafreen-e-sheva-e-'ishq Ki gul hai bulbul-e-rangeen va baiza shabnam hai Agar na hove rag-e-khvaab sarf-e-sheeraaza Tamaam daftar-e-rabt-e-mizaaj barham hai 'asad' ba-naazukee-e-tab'-e-aarzoo insaaf Ki ek vahm-e-za'eef-o-gham-e-do-'aalam hai