rukh e nigaar se hai soz e jaavidaanii e shama

Mirza Ghalib

Rukh-e-nigaar se hai soz-e-jaavidaanee-e-sham.a Huee hai aatish-e-gul aab-e-zindagaanee-e-sham.a Zabaan-e-ahl-e-zabaan men hai marg-e-khaamoshee Ye baat bazm men raushan huee zabaanee-e-sham.a Kare hai sarf ba-eemaa-e-sho.ala qissa tamaam Ba-tarz-e-ahl-e-fanaa hai fasaana-khvaanee-e-sham.a Gham us ko hasrat-e-parvaana kaa hai ai sho.ale Tire larazne se zaahir hai naa-tavaanee-e-sham.a Tire khayaal se ruuh ehtizaaz kartee hai Ba-jalva-rezi-e-baad-o-ba-par-fishaanee-e-sham.a Nashaat-e-daagh-e-gham-e-ishq kee bahaar na poochh Shaguftagee hai shaheed-e-gul-e-khizaanee-e-sham.a Jale hai dekh ke baaleen-e-yaar par mujh ko Na kyuun ho dil pe mire daagh-e-bad-gumaanee-e-sham.a