siimaab pusht garmii e aaiina de hai ham

Mirza Ghalib

Seemaab-pusht garmee-e-aa.eena de hai ham Hairaan kiye hue hain dil-e-be-qaraar ke Aaghosh-e-gul kushooda baraa-e-vidaa hai Ai 'andaleeb chal ki chale din bahaar ke Yuun baad-e-zabt-e-ashk phiroon gird yaar ke Paanee piye kisoo pe koee jaise vaar ke Baad-az-vidaa-e-yaar ba-khoon dar tapeeda hain Naqsh-e-qadam hain ham kaf-e-paa-e-nigaar ke Zaahir hai ham se kulfat-e-bakht-e-siyaah-roz Goyaa ki takhta-e-mashq hain khat-e-ghubaar ke Hasrat se dekh rahte hain ham aab-o-rang-e-gul Maanind-e-shabnam ashk hain mizhgaan-e-khaar ke Ham mashq-e-fikr-e-vasl-o-gham-e-hijr se 'asad' Laa.iq naheen rahe hain gham-e-rozgaar ke