tapish se merii vaqf e kashmakash har taar e bistar hai
— Mirza Ghalib
Tapish se meree vaqf-e-kashmakash har taar-e-bistar hai
Miraa sar ranj-e-baaleen hai miraa tan baar-e-bistar hai
Sarishk-e-sar ba-sahraa daada noor-ul-ain-e-daaman hai
Dil-e-be-dast-o-paa uftaada bar-khurdaar-e-bistar hai
Khushaa iqbaal-e-ranjooree 'ayaadat ko tum aa.e ho
Farogh-e-sham-e-baaleen taala-e-bedaar-e-bistar hai
Ba-toofaan-gaah-e-josh-e-iztiraab-e-shaam-e-tanhaa.ee
Shuaa-e-aaftaab-e-sub.h-e-mahshar taar-e-bistar hai
Abhee aatee hai boo baalish se us kee zulf-e-mushkeen kee
Hamaaree diid ko khvaab-e-zulekhaa aar-e-bistar hai
Kahoon kyaa dil kee kyaa haalat hai hijr-e-yaar men 'ghaalib'
Ki betaabi se har-yak taar-e-bistar khaar-e-bistar hai
Ba-zauq-e-shokhee-e-aa'zaa takalluf baar-e-bistar hai
Mu'aaf-e-pech-o-taab-e-kashmakash har taar-e-bistar hai
Mu'amma-e-takalluf sar-ba-mehr-e-chashm posheedan
Gudaaz-e-sham'-e-mahfil pechish-e-toomaar-e-bistar hai
Mizha farsh-e-rah-o-dil naa-tavaan-o-aarzoo muztar
Ba-paa-e-khufta sair-e-vaadee-e-pur-khaar-e-bistar hai