tum apne shikve kii baaten na khod khod ke puuchho
— Mirza Ghalib
Tum apne shikve kee baaten na khod khod ke poochho
Hazar karo mire dil se ki is men aag dabee hai
Dilaa ye dard-o-alam bhee to mughtanim hai ki aakhir
Na girya-e-saharee hai na aah-e-neem-shabee hai
Nazar ba-naqs-e-gadaayaan kamaal-e-be-adabee hai
Ki khaar-e-khushk ko bhee daavaa-e-chaman-nasabee hai
Huaa visaal se shauq-e-dil-e-harees ziyaada
Lab-e-qadah pe kaf-e-baada josh-e-tishna-labee hai
Khushaa vo dil ki saraapaa tilism-e-be-khabaree ho
Junoon o yaas o alam rizq-e-mudda.aa-talabee hai
Chaman men kis ke ye barham hui hai bazm-e-tamaashaa
Ki barg barg-e-saman sheesha reza-e-halabee hai
Imaam-e-zaahir-o-baatin ameer-e-soorat-o-ma.anee
'alee' valee asadullaah jaanasheen-e-nabee hai