vusat e sai e karam dekh ki sar taa sar e khaak

Mirza Ghalib

Vus.at-e-sa.i-e-karam dekh ki sar-taa-sar-e-khaak Guzre hai aabla-paa abr-e-guhar-baar hunooz Yak-qalam kaaghaz-e-aatish-zada hai safha-e-dasht Naqsh-e-paa men hai tab-e-garmee-e-raftaar hunooz Daagh-e-atfaal hai deevaana ba-kohsaar hunooz Khalvat-e-sang men hai naala talab-gaar hunooz Khaana hai sail se khoo-karda-e-deedaar hunooz Doorbeen dar-zada hai rakhna-e-deevaar hunooz Aa.ee yak-umr se ma.azoor-e-tamaasha nargis Chashm-e-shabnam men na TuuTaa mizha-e-khaar hunooz Kyuun huaa thaa taraf-e-aabla-e-paa yaa-rab Jaada hai vaa-shudan-e-pechish-e-toomaar hunooz Hon khamoshee-e-chaman hasrat-e-deedaar 'asad' Mizha hai shaana-kash-e-turra-e-guftaar hunooz