ye na thii hamaarii qismat ki visaal e yaar hotaa
— Mirza Ghalib
Ye na thee hamaaree qismat ki visaal-e-yaar hotaa
Agar aur jiite rahte yahee intizaar hotaa
Tire va.ade par jiye ham to ye jaan jhuuT jaanaa
Ki khushee se mar na jaate agar e'tibaar hotaa
Tiree naazukee se jaanaa ki bandhaa thaa ahd bodaa
Kabhee too na toD saktaa agar ustuvaar hotaa
Koee mere dil se poochhe tire teer-e-neem-kash ko
Ye khalish kahaan se hotee jo jigar ke paar hotaa
Ye kahaan kee dostee hai ki bane hain dost naaseh
Koee chaarasaaz hotaa koee gham-gusaar hotaa
Rag-e-sang se Tapaktaa vo lahoo ki phir na thamtaa
Jise gham samajh rahe ho ye agar sharaar hotaa
Gham agarche jaan-gusil hai pa kahaan bachen ki dil hai
Gham-e-ishq gar na hotaa gham-e-rozgaar hotaa
Kahoon kis se main ki kyaa hai shab-e-gham buree balaa hai
Mujhe kyaa buraa thaa marnaa agar ek baar hotaa
Hue mar ke ham jo rusvaa hue kyuun na gharq-e-dariyaa
Na kabhee janaaza uThtaa na kaheen mazaar hotaa
Use kaun dekh saktaa ki yagaana hai vo yaktaa
Jo duee kee boo bhee hotee to kaheen do-chaar hotaa
Ye masaa.il-e-tasavvuf ye tiraa bayaan 'ghaalib'
Tujhe ham valee samajhte jo na baada-khvaar hotaa