aayaa hai ek shakhs ajab aan baan kaa
— Mohammad Alvi
Aayaa hai ek shakhs ajab aan-baan kaa
Naqsha badal gaya hai puraane makaan kaa
Taare se TooTte hain abhee tak idhar-udhar
Baaqee hai Kuch nasha abhee kal kee uDaan kaa
Kaalak see jam rahi hai chamaktee zameen par
Sooraj se jal uThaa hai varaq aasmaan kaa
Dariya men duur duur talak kashtiyaan na thiin
Khatra na thaa havaa ko kisee baadbaan kaa
Donon ke dil men khauf thaa maidaan-e-jang men
Donon kaa khauf faasla thaa darmiyaan kaa
'alvee' kivaaD khol ke dekhaa to Kuch na thaa
Wo to qusoor thaa mire vahm-o-gumaan kaa